.

Paheli Lyrics

Duniya paheli
ya sawaal hai
uljha uljha sa khayaal hai
Harsh hai yahaan
jaise raaz hai
padhna chhaho to kitaab hai

Duniya paheli
ya sawaal hai
uljha uljha sa khayaal hai

Dekha hai kya
iska chehra kabhi
pal pal ye karwat badalti hai kyun
lamhon ke saanchon mein dhalti hai kyun
na jaanu main na jaane tu
Kahin janmon se pyaasi ret hai
kahin bin kahe barsaat hai
koi lehron ke saath beh raha
koi saahil pe bekaraar hai

Baithoon wo beetein dinon ke nishaan
milta nahin ek pal bhi yahaan
uljha hua hoon na jaane kahaan
kise khabar kise pata
ye raaz kya hai na jaana
samjha na koi ise
najron ka dhokha hai
ya hai koi
dhuaan (3)

Duniya paheli
ya sawaal hai
uljha uljha sa sawaal hai
Report lyrics