.

Main Jaaonga Lyrics

Usne ye kaha
Kyun hai tu khafa
Teri zindagi mein
Hai vo pal aana bhi bacha
Kyun kho kar yakin
Apni aawaz mein
Tera aasman hai
Tera hi to hai jahan
Mere lekin kuch din hain aise
Aaj hun par kal naa jaane kahan

Main jaaonga
Ek din magar main Jaaonga

Usne ye kaha
Tu hai aazad fir
Teri har khushi mein hai
Teri zid teri manzil
Gum hokar yu kahin
Iss jhoothe gaaon mein
Naa khona tu yakin
Tere sang hai mera ye dil
Mere lekin kuch din hain aise
Aaj hun par kal naa jaane kahan
Main jaaonga
Ek din magar main Jaaonga

Mujhse yu kyun khafa hai tu
Kyun ye doori, kyun juda hai tu
Khokar apne dil ki ye aawazein
Apni manzil se fanaa hai tu

Main chahunga tujhko magar
Main Jaaonga
Report lyrics