.

Aakhiri Din Lyrics

Sagar mein bahoge tum ya taro mein rahoge tum
Kya karoge tum
Sasti purani kitabon mein, un tooti footi dukano mein
Kya dhoondte ho tum
Kisko tum bulaoge
Ehsaan manaoge
Agar tumhara ho
Koi na aage raasta
Na peeche hai khada
Aa gaya hai jo
Aakhiri Din
Aakhiri Din

Kagaz ki kashti thi zindagi, tune kinare pe fir kyun ji
Ab maan ja
Khwabon ka rasta tha tere paas, tujhme chupa tha koi khaas
Pehchaan jaa

Tera hamesha se tha jahan
Tera aasman
Na apnaya kyun
Koi na aage raasta
Na peeche hai khada
Aa gaya hai jo
Aakhiri Din
Aakhiri Din
Report lyrics