.

Khalla Lyrics

Khalla
Categories: PPRJKGD
Posted on September 24, 2005
Mein!
Tum!
Hum akelay hain..
Bekali ki chaon mein hum be-hiss jeetay hain
Jeetay hain...

Aarzoo, ab chupee hai kahan?
Uss dayaar-e-khaamashi mein, yeh dil hai jahaan!
Who jahan...
Ab Nahi hai, par woh hai kahan?
Hum hain kahaan?
Ghaafil hain sayay mein apnay jahan, hum hain wahan!

Ab lagay aisay jaisay zameen se bohat dur!
Ab jaisay aur aagay barhnay peh hain majboor!

Keh jaisay chaand aur taaray poochtay hain mujh se...
Kahaan hai teri zindagi, kahaan hai tu?
Kahaan tu?
Tum ne apnay ehsaas ko maar diya!
Phir tum ne uss ki mayyat ko jala diya!
Ab tum iss ki raakh par kharay ho...
Aur tumharee insaniyat aur tumharay darmiyan,
Ek khalla hai!

Written by Ali Hamza and Ali Noor
Report lyrics
Peeli Patti Aur Raja Jani Ki Gol Dunya (2005)
Nishaan Khalla Mein Peeli Patti Aur Raja Jani Ooncha (feat. Ali Azmat) Jo Meray Sari Raat Jaga Aarzoo Meray Log Kuttay Te To Uttay
Top Ali Noor & Ali Hamza Lyrics