.

Akele Hain To Kya Gam Hai Lyrics

Akele hain to kya ghum hai
Chaahe to humare bas mein kya nahi
Bas ek zara saath ho tera
Tere to hain hum kab se sanam
Akele hain to kya ghum hai
Ab ye nahi sapna ye sab hai apna
Ab ye nahi sapna ye sab hai apna
Ye jahan pyar ka
Chhota sa ye aashiyan bahaar ka
Bas ek zara sath ho tera
Tere to hain hum kab se sanam
Akele hain to kya ghum hai
Fir nahi tootega hum pe koi toofan
Fir nahi tootega hum pe koi toofan
Saajna, dekhna
Har toofan ka main karungi saamna
Bas ek zara saath ho tera
Tere to hain hum kab se sanam
Akele hain to kya ghum hai
Ab to mere saajan beetega har din
Ab to mere saajan beetega har din
Pyar ki baahon mein
Rang jayegi rut teri adaaon mein
Bas ek zara saath ho tera
Tere to hain hum kab se sanam
Akele hain to kya ghum hai
Chaahe to humare bas mein kya nahi
Bas ek zara saath ho tera
Report lyrics