.

Ek Taraf Uska Ghar Lyrics

Teri nigaah se aisi sharab pi maine ki phir na hosh ka daava kiya kabhi maine
woh aur honge jinhe maut aa gayi hogi nigaahen yaar se paayi hai zindagi maine

(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara) 2
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
ek taraf baam par koi gulpham hai ek taraf mehfilen bada-o-jaam hai - 2
dil ka donose hai kuchh na kuchh hai vaasta
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
usake dar se utha to kidhar jaaunga maikada chhod dunga to main marr jaaunga - 3
sakht mushkil mein hoon kya karu ai khuda
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

zindagi ek hai aur talabgar do jaan akeli magar jaan ke haqdaar do - 2
dil bata pehele kiska karu hak ada
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2

is taaluk ko main kaise todu jafar kisko apanaau main kisako chodu zafar - 3
mera donose rishta hai nazdik ka
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
(ai gam-e-zindagi - 2 kuchh to de mashwara) 2
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
main kaha jaaun hota nahi faisala
ek taraf usaka ghar ek taraf maikada - 2
Report lyrics
Nasha (1997)
Sharab Cheez Hi Aisi Thodi Thodi Piya Karo Sabko Maloom Hai Ek Taraf Uska Ghar Usko Gale Lagana Saqi Na Samjho Ke Hum Pee Gaye Khuda Ka Shukr Hai Kabhi Maikhane Tak Jaate Hai Paimane Toot Gaye La Pilade Saqiya