.

Jaavedaan Hai Lyrics

Ho.o.. ho.ovu..o..

Karta hoon tujh mein din guzar main
Karta hoon tujh mein sab basar
Karta hoon tujh mein hi shehar mein
Jeeta hoon tujhko dekh kar
Dil tere bin thehra sa hai
Tu dhadkanon ka hai safar
Kaaton bara har rasta
Phoolon ke hai tu reh guzar

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..

Ho.o.. ho.vu..o..

Sath tera jabse hai mujhko mila
Waqt ki shakhon pe har pal khila
Zindagi se ab nahi koi gila
Jitna hai tu utna hoon main
Na kuch zyada na hoon kam
Tujhse hi shuru hota hoon main
Hota hoon tujhpe hi khatam
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..
Maine tujhko is tarah se hai jiya
Aandhiyon mein jaise jalta hai diya
Ishq se har false ko thai kiya
Hoke juda humse khafa
Lamhe wo sare kat gaye
Tum mil gaye banke subah
Jo the andhere hat gaye

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai jano dil ke
Darmiyan hai darmiyan tu haan..
Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujh mein hi dil
Ud raha hai aasmaan tu haan..

Darmiyan...
Aasmaan tu haan..
Report lyrics
1920 - Evil Returns (2012)
Top KK & Suzanne D'Mello Lyrics