.

Apni Aag Ko Zinda Rakhna Lyrics

Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
Patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai

Kitna aasaan hai tasveer banaana auron ki
Khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai
Tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
Ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai
Chullu mein ho dard ka dariya dhyaan mein uske honth
Yun bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai
Report lyrics