.

Tum Bhi Ho Wahi Lyrics

Tum bhi ho wahi, hum bhi hain wahi
Baat phir ye kyun, ab lagti hai nayi
Kya hua galat, aur kya sahi
Dono saath hain, sach to hai yehi
Yaadein bahut si reh gayi peechhe kahin
Ye pyaar ab aage hume kheenche kahin

Ke door tak bechain hai sab raaste
Iss haal mein tu muskara mere vaaste

Tum bhi ho wahi, hum bhi hain wahi
Baat phir ye kyun, ab lagti hai nayi
Kya hua galat, aur kya sahi
Dono saath hain, sach to hai yehi
Ab din dhale chaahe jahan ab shaam ho
Parwah kya ab chaahe jo anjaam ho

Woh aasmaan, ho ya zameen
Humne likha pyaar ko har kahin
Sheeshe ka hai har ek pal, iss mein chupa hai apna kal
Toote na ye sambhalo ise
Sheeshe ka hai har ek pal, iss mein chupa hai apna kal
Toote na ye sambhalo ise
Tum bhi ho wahi, hum bhi hai wahi
Baat phir yeh kyun, ab lagti hai nayi
Kya hua galat, aur kya sahi
Report lyrics
Top Vishal Dadlani & Suraj Jagan Lyrics