.

Kahin Karti Hogi Lyrics

kahin karti hogi, wo meraa intazaar
jiski tamannaa mein, phirtaa hoon beqaraar
kahin karti hogi, wo meraa intazaar
jiski tamannaa mein, phirtaa hoon beqaraar
door zulfon ki chhaaon se,
kahtaa hoon main hawaaon se
usi but ki adaaon ke, afsaane hazaar
wo jo baahon mein machal jaati,
hasrat hi nikal jaati,
meri duniyaa badal jaati, mil jaataa qaraar
kahin karti hogi, wo meraa intazaar
jiski tamannaa mein, phirtaa hoon beqaraar
aaa aaa
armaan hai koyi paas aaye,
in haathon mein wo haath aaye,
phir khwaabon ki ghataa chhaaye, barsaaye khumaar
phir unhin beeti din raaton pe,
matwaali mulaqaaton pe,
ulfat bhari baaton pe, ham hote nisaar
kahin karti hogi, wo meraa, intzaar
jiski tamannaa mein, phirtaa hoon beqaraar
jiski tamannaa mein, phirtaa hoon beqaraar
Report lyrics