.

Bawla Sa Sapna Lyrics

Aao ji aao suno tumko sunaaun
Ik sapne ki story...
Ki meri palkon ki tapri ke neeche
Woh rehta tha sapna tapori
Ambar mein udne ka shauq usey tha
Akal thi thodi!
Arey chupke se tupke se
Karna woh chahta tha
Moon ki chori :P

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bavla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna...

Sapney ka tha, beta sapnu
Pyara pyara, bada dulara, Bola...
Papa aana.. jaldi jaldi tum chanda laana
Hadbadi mein, gadbadi mein
Sapna nikla.. sambhla, phisla..
Udaa.. pahuncha, pahuncha
Chaand ke ghar gaya
Woh raat thi amaawsi
Chutti pe tha ji chanda
Dabe paaon jo gaya tha
Khaali haath lauta banda
Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Hmm.. baadal baadal, ghoome paagal
Sapnu ko ab kaise dikhaye..
Chehra, chehra, chehra..
Ya ya ye yeah.. apna chehra..

Tabhi sadak par dikha ek
Ujla ujla, pyara-pyara sheesha, sheesha
Sheehse mein usko jaane kya dikha
Sapnu ko jaa dikhaya
Sheeshe mein uska chehra
Bola mere pyaare sapnu
Tu hi hai chaand apna
Mera bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada baawla sa sapna
Meri maanta nahi hai
Mera hi hai woh sapna

Yeh bawla sa sapna
Bada bawla sa sapna
Rukna kahaan hai aakhir
Nahi jaanta tha sapna...
Report lyrics