.

Jaaneman Jaaneman Lyrics

Jaaneman Jaaneman

Jaaneman kisika naam nahin
phir bhi yeh naam hoton peh na ho

aisi koi suboh nahin shyam nahin

jaaneman jaaneman

Maine sirf khayalon mein

khwabon ki sej sajai hai

dil ki khali deewaron par

ik tasvir banai hai
tasviron pe marta hoon

waqt gujara karta hoon

main mehboob ki galiyon ka

koi aashiq badnam nahin

jaaneman jaaneman

Kal ki baat khuda jaane
par aaj talak woh baat nahin

dil par badal chhaye hai

par aankhon main barsaat nahin

kaisa main diwana hoon

kaisa main mastana hoon

pyas toh hai hoton par

lekin hathon mein jaam nahin
Report lyrics