.

Abhi Woh Kamsin Lyrics

abhi wo kamsin ubhar raha hai
abhi hai us par shabaab aadha
abhi jigar mein khalish hai aadhi
abhi hai mujhpar itaab aadhaa
mere sawaal-e-wasl par
tum nazar jhuka kar khade huye ho
tumhi bataaO ye baat kya hai
swaal poora jawaab aadhaa
laga ke laare pe le toh aaya hoon
sheikh sahaab ko maiqade tak
agar ye do ghoont pi le
milege mujhko sabab aadha

kabhi sitam hai kabhi karam hai
kabhi tawajjo kabhi tagaful
ye saaf zaahir hai mujhse ab tak
hua hoon main kaamyaab aadhaa
Report lyrics