.

Mastana Piye Ja Yun Hi Lyrics

Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja - 2
Paimaana to kya cheez hai maikhaana piye ja
Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja
Kar gharq-e-mao-jaam gham-e-gardish-e-ayyaam - 2
Haan ae dil-e-naakaam hakeemaana piye ja
Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja

Mai-noshee ke aadaab se aagah nahin tu - 2
Jis tarah kahe saaqi-e-maikhaana piye ja
Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja
Is makr ki basti mein hai masti hi se hasti - 2
Deewana ban aur baa-dil-e-deewana piye ja
Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja

Maikhaane ke hungaame hain kuchh der ke mehmaan
Hai subah-o-qaareeb akhtar-e-deewana piye ja
Mastaana piye ja yun hi mastaana piye ja
Paimaana to kya cheez hai maikhaana piye ja
Report lyrics