.

Awargi Lyrics

Yeh dil pagal dil mera

kyon bujh gaya awargi
is dasht mein ek shahar tha

woh kya hua awargi

Kal raat ek beshakal si

awaaz ne chauka diya

maine kaha tu kaun hai

usne kaha awargi
Yeh gam ki tanhaiyan /p>

yeh dasht ka viran safar

hum log to ukta gaye

apni suna awargi

Ek hawa ke jhoken ne

jab pucha mere gam ka sabab
sehra ki bheegi ret par

maine likha awargi

Kal tanha chand ko

dekha tha maine khwab mein

mohsin mujhe raas aayegi

shayad sada awargi
Report lyrics