.

Tera Chehra Lyrics

Meri bechainiyon ko chain mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Mere deewanepan ko sabr mil jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye

Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na aankhon se
bheega bheega pyaar beh jaata hai

Meri tanhaiyon ko noor mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye

Main raat-din ye duaa karun
Tere liye main jiyun marun
Chaaron pehar tujhe dekha karun
Mera jahan ye tujhpe fanaa karun
Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na honthon pe tera ehsaas
Reh jaata hai

Mere har raaste ko manzil mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Berang hawayein mujhe naa jaane
De gayi sadaa kyun abhi abhi
Hai sarfaroshi ye aashiqui bhi
Jaayegi jaan meri isme kabhi

Zikr tumhara jab jab hota hai
Dekho na har lamha teri daastaan
keh jaata hai

Meri har ik tadap ko sukoon mill jaaye
Tera chehra jab nazar aaye
Tera chehra jab nazar aaye
Report lyrics